aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi
aur bikhar jaun to mujh ko na sameTe koi
kanp uThti hun main ye soch ke tanhai mein
mere chehre pe tera nam na paDh le koi
jis tarah KHwab mere ho gae reza reza
us tarah se na kabhi TuT ke bikhre koi
main to us din se hirasan hun ki jab hukm mile
KHushk phulon ko kitabon mein na rakkhe koi
ab to is rah se wo shaKHs guzarta bhi nahin
ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi
koi aahaT koi aawaz koi chap nahin
dil ki galiyan baDi sunsan hain aae koi
Ghazal
Aks-e-KHushbu hun bikharne se na roke koi
Parveen Shakir