aks aaseb aaina jangal
ibtida abr intiha jangal
hai hawa hamd aur dua jangal
aadmi KHak hai KHuda jangal
kaun is ko jalane wala tha
apni hi aag mein jala jangal
bain barish ke naddiyan nale
aur mausam ka marsiya jangal
jugnuon ki zaban samjhen to
sau kathaon ki ek katha jangal
jaane kis ko sadaen deta hai
bastiyon mein makan ka jangal
KHwab mein kyun dikhai dete hain
bolte peD jagta jangal
Ghazal
Aks aaseb aaina jangal
Sheen Kaaf Nizam