aks aankhon mein be-dhiyani ka tha
ya sabab dil ki bad-gumani ka tha
bujhta bujhta hubab pani ka tha
lamha lamha main zindagani ka tha
kuchh tabiat bhi zor par thi meri
kuchh taqaza bhi naujawani ka tha
main tha kaamil nazar-shanasi mein
zoam us ko mizaj-dani ka tha
tha jo khaTka sa har ghaDi dil mein
uzr bas us ki pasbani ka tha
ek nai tarah be-niyazi ki thi
ek naya taur mehrbani ka tha
ek rasta har ek basti ka tha
ek unwan har kahani ka tha
Dubti ek sada si lahr mein thi
jagta shor sa rawani ka tha
zad pe aate hi khul gaya hai 'imam'
jo bharam us ki baadbani ka tha

Ghazal
Aks aankhon mein be-dhiyani ka tha
Noman Imam