aKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen
tumhaari yaadon ke aaine phir se jagmagaen
gali ke nukkaD par ab nahin hai wo shor phaila
bhalai is mein hai zaiqe hum bhi bhul jaen
rakhe rakhe ho gae purane tamam rishte
kahan kisi ajnabi se rishta naya banaen
wo hansi aankhen jalae deti hain jaan hamari
nawah-e-jaan mein ghubar-e-ah-o-buka uDaen
hamari sab laghzishen hain mahfuz Diary mein
tabhi to hain muddai ki kam kam mili sazaen

Ghazal
AKHir-e-shab sard rakh chulhe ki jhaD laen
Sabir