akeli ruh akela mera badan bhi hai
akele-pan ka ye sahra mera chaman bhi hai
kushud-e-zat ka munkir tha kab KHabar thi mujhe
barahnagi hi meri mera pairahan bhi hai
KHud apne qurb ki tanhaiyon mein guzra hai
wo ek lamha ki KHalwat bhi anjuman bhi hai
kuchh itna sahl nahin mera fash ho jaana
mere badan pe to KHwabon ka pairahan bhi hai
bana raha tha wo harf-o-sada ke gul-buTe
use KHabar na thi ek sochne ka fan bhi hai
Ghazal
Akeli ruh akela mera badan bhi hai
Akbar Haidri