akele rahne ki KHud hi saza qubul ki hai
ye hum ne ishq kiya hai ya koi bhul ki hai
KHayal aaya hai ab rasta badal lenge
abhi talak to bahut zindagi fuzul ki hai
KHuda kare ki ye pauda zamin ka ho jae
ki aarzu mere aangan ko ek phul ki hai
na jaane kaun sa lamha mere qarar ka hai
na jaane kaun si saat tere husul ki hai
na jaane kaun sa chehra meri kitab ka hai
na jaane kaun si surat tere nuzul ki hai
jinhen KHayal ho aankhon ka lauT jaen wo
ab is ke baad hukumat safar mein dhul ki hai
ye shohraten hamein yunhi nahin mili hain 'shakil'
ghazal ne hum se bhi bahut wasul ki hai
Ghazal
Akele rahne ki KHud hi saza qubul ki hai
Shakeel Azmi