akasr tanhai se mil kar roe hain
hum ne apne ashk aag se dhoe hain
bahut nibhai len-den ki rasmen bhi
kuchh aansu pae hain kuchh gham khoe hain
jab bhi barish ne miTTi se munh moDa
jalte suraj ne zarraat bhigoe hain
KHabar jahan milti hai apne hone ki
hum us manzil par bhi khoe khoe hain
jab KHud ko pana hi mushkil kaam hua
kyun kachche dhage mein phul piroe hain
baal-o-par pate hi uDe hawaon mein
hum ne jo nazdik ke rishte Dhoe hain
tum ko kya malum meri tanhai ne
lafzon mein apne jazbaat samoe hain
hum kya jaanen KHwabon ki narmi kya hai
hum kab KHushbu ki banhon mein soe hain
baha na le jae un ko barish 'usha'
chaTTanon par KHwab wafa ke boe hain
Ghazal
Akasr tanhai se mil kar roe hain
Usha Bhadoriya