akasr raat gae tak main chaukhaT par baiTha rahta hun
cigarette pita chand ko takta man mein bikta rahta hun
rack pe rakh kar bhul gaya tha us ke chehre aisi kitab
hath mein jab aa jati hai to pahron paDhta rahta hun
marmar ka patthar ban jati hai jab pure chand ki raat
apni nazron ki chhini se muraten ghaDta rahta hun
aaKHiri show se lauTne wale bhi ghaeb ho jate hain
main jaane kin taswiron mein kab tak khoya rahta hun
Ghazal
Akasr raat gae tak main chaukhaT par baiTha rahta hun
Ameeq Hanafi