akasr meri zamin ne mere imtihan liye
zinda hun apne sar pe kai aasman liye
bechaargi kabhi mujhe sabit na kar saki
kya kya meri hayat ne mere bayan liye
apni sadaqaton se bhi lagne laga hai Dar
chalna hai is zamin pe sarab-e-guman liye
aur main ki apni zat se nisbat nahin meri
har shaKHs phir raha hai meri dastan liye
mangi nahin hai main ne kisi aasman se dhup
zinda hun apne hathon mein apna jahan liye
sara qusur jaise meri bebasi ka tha
ilzam apne sar pe kisi ne kahan liye
unwan iztirab kiye kitne fasle
tum ne qadam qadam pe mere imtihan liye
pahna unhen to main bhi dhanak-posh ho gai
apna samajh ke main ne tumhaare nishan liye
'usha' tamam umr kaTi intizar mein
aaya na koi ghar mein dil-e-mehrban liye
Ghazal
Akasr meri zamin ne mere imtihan liye
Usha Bhadoriya