اردو हिंदी
Akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai | Shaahi Shayari
akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai

Ghazal

Akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai

Nazeer Banarasi

;

akasr is tarah se bhi raat basar hoti hai
raat ki raat nazar jaanib-e-dar hoti hai

jis se duniya-e-sukun zer-o-zabar hoti hai
wo mulaqat sar-e-rahguzar hoti hai

Thes lagti hai jahan ishq ki KHuddari ko
zindagi baDh ke wahin sina-sipar hoti hai

ye sapedi-e-sahar hai ki sitaron ka kafan
raat dam toD rahi hai ki sahar hoti hai

apne daman se to main ponchh raha hun aansu
daman-e-dost ki tauhin magar hoti hai

aap aaraish-e-gesu mein lage hain nahaq
fateh-e-dil to mohabbat ki nazar hoti hai

rasta roke hue kab se khaDi hai duniya
na idhar hoti hai zalim na udhar hoti hai

tu nazar bhar ke sar-e-bazm na dekh un ko 'nazir'
is se ruswai-e-tahzib-e-nazar hoti hai