akasr apne dar-pae-azar ho jate hain hum
sochte hain is qadar bimar ho jate hain hum
muztarib Thahre so shab mein der se aati hai nind
subh se pahle magar bedar ho jate hain hum
nam ki KHwahish hamein karti hai sargarm-e-amal
is amal se bhi magar bezar ho jate hain hum
jhuTa wada bhi agar karti hai malne ka KHushi
waqt se pahle bahut tayyar ho jate hain hum
bhul kar wo baKHsh de gar raushni ki ek kiran
daimi shohrat ke dawedar ho jate hain hum
mutmain hona bhi apne be-KHabar hone se hai
be-sukun hote hain jab hushiyar ho jate hain hum
ek zara si baat aur phir ashk thamte hi nahin
lahr si ek dil mein aur sarshaar ho jate hain hum
Ghazal
Akasr apne dar-pae-azar ho jate hain hum
Shabnam Shakeel