ajnabiyyat ka har ek ruKH pe nishan hai yaro
apne hi shahar mein ghurbat ka saman hai yaro
aasmanon mein lachakti hui ye qaus-e-quzah
bhes badle hue rawan ki kaman hai yaro
ek siyasat hai ki hai dair-o-haram ki mahbub
ek mohabbat hai ki ruswa-e-jahan hai yaro
ahl-e-dil rah gae aasar-e-qadima ho ke
zindagi ek shikasta sa makan hai yaro
dil hi shaista-e-gul-gasht nahin hai warna
ye zamin aaj bhi firdaus-e-jawan hai yaro
Ghazal
Ajnabiyyat ka har ek ruKH pe nishan hai yaro
Iqbal Mahir