ajnabiyat thi magar KHamosh istifsar par
nam us ne ek alamat mein likha diwar par
raegan jati hui umr-e-rawan ki ek jhalak
taziyana hai qanaat-ashna kirdar par
dushmanon ke darmiyan mera muhafiz hai qalam
main ne har talwar roki hai isi talwar par
din ho jaisa bhi guzar jata hai apne taur se
raat hoti hai magar bhaari tere bimar par
sust-gami le ke manzil tak chali aai mujhe
tez-rau ahbab hairan hain meri raftar par
shab ke sannaTe hi mein karta hai sachchi guftugu
shahr apna dukh sunata hai dar o diwar par
zindagi karna wo mushkil fan hai 'ashhar' hashmi
jaise ki chalna paDe bijli ke nange tar par
Ghazal
Ajnabiyat thi magar KHamosh istifsar par
Ashar Hashmi