ajnabi shahr mein ulfat ki nazar ko tarse
sham Dhal jae to rah-gir bhi ghar ko tarse
KHali jholi liye phirta hai jo aiwanon mein
mera shaffaf hunar arz-e-hunar ko tarse
jis jagah hum ne jalae the wafaon ke diye
phir usi gah pe dildar nazar ko tarse
meri be-KHwab nigahen hain samundar shab hai
waqt tham tham ke jo guzre hai sahar ko tarse
jaane hum kis se muKHatab hain bhari mahfil mein
baat dil mein jo na utre hai asar ko tarse
kitne mausam hain ki chup-chap guzar jate hain
tere aane ka dilasa hai KHabar ko tarse
shabnami rakh bichhi hai mere armanon ki
naqsh-e-pa tere kisi KHak-basar ko tarse
Ghazal
Ajnabi shahr mein ulfat ki nazar ko tarse
Shaista Mufti