اردو हिंदी
Ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila | Shaahi Shayari
ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

Ghazal

Ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

Javed Shaheen

;

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila
bichhDa to wo mujhe kisi aur dayar mein mila

mere liye wo kam-numa hairat-e-gul bana raha
aankh ke wast mein sada ek ghubar mein mila

bagh tha jis tarah saja us mein kisi ka hath tha
jaisa bhi koi phul tha ek qatar mein mila

ya to wo ek KHwab tha TuT ke juDta hi raha
ya phir KHalal nigah ka aankh ke tar mein mila

arsa wo mere ishq ka nikla koi fareb sa
main tha kahan wo KHud-numa KHud hi se pyar mein mila

itni zyaada bhiD thi baat na us se ho saki
pal bhar wo tez waqt ki rahguzar mein mila

barf thi kab thi wo hawa ghar se yunhi nikal paDa
jism ke kaTne ka maza jaDe ki dhaar mein mila

shahr wo tha ajib sa jo bhi wahan pe shaKHs tha
band bahut buri tarah ek hisar mein mila

ye mere mah ye baras meri hayat-e-yak-nafas
mera jahan-e-KHar-o-KHas mujh ko udhaar mein mila

phul kuchh is tarah khila dil bhi zara sa kaT gaya
thoDa sa rang KHun ka rang-e-bahaar mein mila

sham hi se mah-e-tamam chaDhne laga falak ka baam
aaKHir-e-shab ye narm-gam ek utar mein mila

shahin' gulon ka qafila jis mein sharik wo bhi tha
ek jagah ruka hua wadi-e-KHar mein mila