اردو हिंदी
Ajib waqia tha usko apne ghar lana | Shaahi Shayari
ajib waqia tha usko apne ghar lana

Ghazal

Ajib waqia tha usko apne ghar lana

Mazhar Imam

;

ajib waqia tha us ko apne ghar lana
kabhi charagh uThana kabhi qamar lana

bayan-e-ijz mein alfaz-e-mo'atabar lana
baDa kamal duaon mein hai asar lana

bahut hai aaj tamanna uDan bharne ki
qafas se ja ke hamare shikasta par lana

thake hue hain sabhi paemal rahon par
kahin se DhunD ke phir taza rah-guzar lana

wo shoKH rang ka shaida hai ye KHayal rahe
qarib aana to KHud ko lahu mein tar lana

bas ek kaam hua hum se zindagi mein 'imam'
ayagh-e-umr sharab-e-ziyan se bhar lana