ajib thi wo ajab tarah chahta tha main
wo baat karti thi aur KHwab dekhta tha main
visal ka ho ki us ke firaq ka mausam
wo lazzaten thin ki andar se TuTta tha main
chaDha hua tha wo nashsha ki kam na hota tha
hazar bar ubharta tha Dubta tha main
badan ka khel thin us ki mohabbaten lekin
jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main
phir is tarah kabhi soya na is tarah jaga
ki ruh nind mein thi aur jagta tha main
kahan shikast hui aur kahan sila paya
kisi ka ishq kisi se nibahta tha main
main ahl-e-zar ke muqabil mein tha faqat shaer
magar main jit gaya lafz haarta tha main
Ghazal
Ajib thi wo ajab tarah chahta tha main
Obaidullah Aleem