ajib tajraba aankhon ko hone wala tha
baghair nind main kal raat sone wala tha
tabhi wahin mujhe us ki hansi sunai paDi
main us ki yaad mein palken bhigone wala tha
kisi badan ki sada ne bacha liya mujh ko
main warna ruh ke jangal mein khone wala tha
ye soch soch ke ab to hansi si aati hai
shuru-e-ishq mein kitna main rone wala tha
kabhi hui na mulaqat shahr se meri
main jab bhi so ke uTha shahr sone wala tha
agar yahi hai mohabbat to hone wali thi
wo milne wala tha mujh ko main khone wala tha
mujhe nikal diya taziyat ke jalse se
ki bas wahan main akela hi rone wala tha
ye mera dida-e-tar KHushk ho gaya warna
mere liye bhi yahan koi rone wala tha
is aaine ne usulon pe zid na ki ki warna
main apne aap ke bar-aks hone wala tha
kisi ne mahfil-e-duniya ki dhun badal Dali
zamana jab mera ham-raqs hone wala tha
wahan bas ek dil KHali tha aur miyan-'ehsas'
na ishq un ko hua tha na hone wala tha
Ghazal
Ajib tajraba aankhon ko hone wala tha
Farhat Ehsas