اردو हिंदी
Ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the | Shaahi Shayari
ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the

Ghazal

Ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the

Tabish Kamal

;

ajib subh thi diwar o dar kuchh aur se the
nigah dekh rahi thi ki ghar kuchh aur se the

wo aashiyane nahin the jahan pe chiDiyan thin
shajar kuchh aur se un par samar kuchh aur se the

tamam kashtiyan manjdhaar mein ghiri hui thin
har ek lahar mein bante bhanwar kuchh aur se the

bahut badal gaya maidan-e-jang ka naqsha
wo dhaD kuchh aur se the un pe sar kuchh aur se the

mere halif mere sath the laDai mein
har ek shaKHs ke tewar magar kuchh aur se the

kai paDaw the manzil ki rah mein 'tabish'
mere nasib mein lekin safar kuchh aur se the