ajib shoKHi-e-duniya mein ji raha hun main
isi ka jam-e-gharibana pi raha hun main
tha ja wo banT diya apnon aur ghairon mein
ab apni jeb ke suraKH si raha hun main
jahan tasawwur-e-insan thak ke haarta hai
isi mahaz-e-abas mein kabhi raha hun main
kisi ne puchha kisi ke kisi KHayal mein the
kaha jawab mein main ne ki ji raha hun main
kisi bhi rishte ki kuchh ibtidai muddat tak
bataur-e-ala-e-araishi raha hun main
ba-qaul rawi-e-kashana-ha-e-jaanan ke
kisi ki aarzu-e-aKHiri raha hun main
ab us ki tund-mizaji ne ye dhara ilzam
ki us ka pairahan-e-atishi raha hun main
ye ittisaf ye nisbat baja hai ek had tak
sarapa paikar-e-azurdagi raha hun main
kahin kahin meri aahon mein ajnabiyyat thi
so dusron ke liye ajnabi raha hun main
KHabar main leta hun 'tamjid' apne aap ki jo
KHud apne aap ka aKHbarchi raha hun main
Ghazal
Ajib shoKHi-e-duniya mein ji raha hun main
Syed Tamjeed Haider Tamjeed