اردو हिंदी
Ajib shaKHs hai patthar se par banata hai | Shaahi Shayari
ajib shaKHs hai patthar se par banata hai

Ghazal

Ajib shaKHs hai patthar se par banata hai

Tanveer Ahmad Alvi

;

ajib shaKHs hai patthar se par banata hai
dayar-e-sang mein shisha ka ghar banata hai

jo zaKHm phul ki patti ka sah saka na kabhi
us aabla ko wo apni sipar banata hai

faza ka bojh samajhta hai chand suraj ko
wo gardanon pe sajaane ko sar banata hai

jahan se qafila-e-waqt rah bhula tha
unhin sarabon mein wo rah-guzar banata hai

tarashta hai jigar wo bhi aabginon se
KHazaf ko kasa-e-arz-e-hunar banata hai

dil-o-nazar ke fusun us ko ras aa na sake
wo aainon se guzarne ko dar banata hai

ye kis se kahiye ki 'tanwir' KHud salibon ko
sukun-e-jaan ke liye ham-safar banata hai