ajib shaKHs hai mujh ko to wo diwana lage
pukarta hun to us ko meri sada na lage
guzar raha hai mere sar se jo hawa ki tarah
kabhi kabhi to wahi lamha ek zamana lage
gali mein jis pe har ek samt se chale patthar
mujhe wo shaKHs kisi tarah bhi bura na lage
mizaj us ne bhi kaisa ajib paya hai
hazar chheD karun par use bura na lage
hamare pichhe wo chup-chap baiTha rahta hai
main sochta hun magar kuchh mujhe pata na lage
isi KHayal se shayad hai band wo khiDki
ThaThurti sham ki us ko kahin hawa na lage
sunaen kis ko yahan aap-biti ai 'aslam'
hamein to apni hi har baat KHud fasana lage
Ghazal
Ajib shaKHs hai mujhko to wo diwana lage
Aslam Azad