اردو हिंदी
Ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use | Shaahi Shayari
ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use

Ghazal

Ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use

Marghoob Ali

;

ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use
palak se KHar uThane ki aarzu hai use

wo KHwahishon ke diye har qadam jalata hai
talash kaun se chehre ki chaar su hai use

wo taq taq jo yaadon ke phul rakhta hai
ye kis junun ki diwar ru-ba-ru hai use

zamane bhar ke sitare hain aankh ke aage
bas ek nam hi kyun harf-e-guftugu hai use

kyun ek KHwab ko aankhon mein le ke phirta hai
kyun ek dard ka ehsas ku-ba-ku hai use