ajib shai hai tarah-dar bhi tamanna bhi 
raqib-e-jaan bhi hai qatil bhi hai masiha bhi 
udas udas harim-e-nigah be-manzar 
dhuan dhuan KHalish-e-raegan se duniya bhi 
dil-o-dimagh-o-nafas tishnagi se hain raushan 
isi ki aag mein jalte hain shahar-o-sahra bhi 
wahi hawa-e-jahan-tab mo'atabar hai ki jo 
jila ke chhoD gai hai charagh-e-farda bhi 
talab mein mujh se to lamha bhi ek nahin kaTta 
isi KHumar ne kaTe hain koh-o-dariya bhi 
tere KHayal se KHalwat bhi anjuman hai mujhe 
tere KHayal se hon anjuman mein tanha bhi 
faza-e-KHwab-e-tarab ne jaga diya mujh ko 
lagi jo aankh to hone laga sawera bhi
        Ghazal
Ajib shai hai tarah-dar bhi tamanna bhi
Syed Amin Ashraf

