ajib shai hai ki surat badalti jati hai
ye sham jaise maqabir mein Dhalti jati hai
chahaar samt se tesha-zani hawa ki hai
ye shaKH-e-sabz ki har aan phalti jati hai
pahunch sakunga fasil-e-buland tak kaise
ki mere hath se rassi phisalti jati hai
kahin se aati hi jati hai nind aankhon mein
kisi ke aane ki saat nikalti jati hai
nigah ko zaeqa-e-KHak milne wala hai
ki sahilon ki taraf naw chalti jati hai
Ghazal
Ajib shai hai ki surat badalti jati hai
Abdul Hamid