ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya
koi charagh liye muntazir nazar aaya
dua ko hath uThae hi the ba-waqt-e-sahar
ki ek sitara mere hath par utar aaya
tamam umr tere gham ki aabyari ki
to shaKH-e-jaan mein gul-e-taza ka samar aaya
phir ek sham dar-e-dil pe dastaken jagin
aur ek KHwab ke hamrah nama-bar aaya
gale se lag ke mere puchhne laga dariya
kyun apni pyas ko sahra mein chhoD kar aaya
ye kis dayar ke qisse suna rahe ho 'nawed'
ye kis hasin ka aaankhon mein KHwab dar aaya
Ghazal
Ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya
Seeman Naved