ajib rut hai daraKHton ko be-zaban dekhun
dayar-e-sham mein aahon ka main dhuan dekhun
chahaar samt se aai thi barf ki aandhi
kahin na phul na rangon ki titliyan dekhun
yaqin un ko dilaun chamakte suraj ka
hisar-e-shab mein jo sahme hue makan dekhun
zamin ko tu ne Daraya sada masaib se
kabhi tujhe bhi hirasan ai aasman dekhun
labon pe jis ke musalsal pukar pani ki
usi ki aankh se dariya bhi ek rawan dekhun
lahu-luhan to koi nazar nahin aata
lahu mein Dubi magar sab ki ungliyan dekhun
hamare ahd ke logon ko kya hua 'fikri'
sabhon mein bujhti hui aag ka saman dekhun
Ghazal
Ajib rut hai daraKHton ko be-zaban dekhun
Parkash Fikri