ajib rona sisakna nawah-e-jaan mein hai
ye aur kaun mere sath imtihan mein hai
ye raat guzre to dekhun taraf taraf kya hai
abhi to mere liye sab kuchh aasman mein hai
kaTega sar bhi isi ka ki ye ajab kirdar
kabhi alag bhi hai shamil bhi dastan mein hai
tamam shahr ko mismar kar rahi hai hua
main dekhta hun wo mahfuz kis makan mein hai
na jaane kis se teri guftugu rahi 'bani'
ye ek zahr ki ab tak teri zaban mein hai
Ghazal
Ajib rona sisakna nawah-e-jaan mein hai
Rajinder Manchanda Bani