ajib rang the dil mein jo aansuon mein na the
pas-e-mizha the wo chehre ki chilmanon mein na the
jo ro chuke to yahi bolte dar-o-diwar
hue KHamosh ki jaise kabhi gharon mein na the
hamari waza ne pabandiyan qubul na kin
misal-e-nashsha the hum aur sagharon mein na the
chale to apni hi raftar se ulajh ke gire
hawa ki tarah muqayyad jo faslon mein na the
chaman mein rah ke wo kanTe chubho liye hum ne
ki itne rang to shayad yahan gulon mein na the
fana ka KHauf tha mahmez chalne walon ka
ye hausle kabhi TuTe hue paron mein na the
baDa azim musawwir tha Dubta suraj
shafaq ke rang magar bujhte rauzanon mein na the
Ghazal
Ajib rang the dil mein jo aansuon mein na the
Tauseef Tabassum