ajib rang ajab haal mein paDe hue hain
hum apne ahd ki patal mein paDe hue hain
suKHan-sarai koi sahl kaam thoDi hai
ye log kis liye janjal mein paDe hue hain
uTha ke hath pe duniya ko dekh sakta hun
sabhi nazare bas ek thaal mein paDe hue hain
jahan bhi chahun main manzar uTha ke le jaun
ki KHwab dida-e-amwal mein paDe hue hain
main sham hote hi gardun pe Dal aata hun
sitare lipTi hui shaal mein paDe hue hain
wo tu ki apne tain kar chuka hamein takmil
ye hum ki fikr-e-KHad-o-KHal mein paDe hue hain
isi liye ye watan chhoD kar nahin jate
ki hum tasawwur-e-'iqbaal' mein paDe hue hain
sawab hi to nahin jin ka phal milega mujhe
gunah bhi mere aamal mein paDe hue hain
tamam aks meri dastaras mein hain 'azar'
ye aaine meri timsal mein paDe hue hain
Ghazal
Ajib rang ajab haal mein paDe hue hain
Dilawar Ali Aazar