ajib raat thi wo raat mein nahin aaya
ki mere KHwab-e-tilismat mein nahin aaya
wo is liye hi to aaya tha phul khil jaen
phir is ke baad wo baghat mein nahin aaya
main chahta tha use chhu ke dekh lun lekin
wo aasman mere hat mein nahin aaya
wagarna tum se talluq main KHatm kar deta
pe intishaar bayanat mein nahin aaya
gunah muaf main us ko KHuda bana baiTha
KHuda KHayal-e-mulaqat mein nahin aaya
khule kiwaD mere ghar ke bain karte rahe
koi bhi hath mere hat mein nahin aaya
furaat tu ne bahattar ki tishnagi dekhi
tu phir bhi KHema-e-sadat mein nahin aaya

Ghazal
Ajib raat thi wo raat mein nahin aaya
Osaama ameer