اردو हिंदी
Ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun | Shaahi Shayari
ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun

Ghazal

Ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun

Noshi Gilani

;

ajib KHwahish hai shahr walon se chhup chhupa kar kitab likkhun
tumhaare nam apni zindagi ki kitab ka intisab likkhun

wo lamha kitna ajib tha jab hamari aankhen gale mili thin
main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ke azab likkhun

tumhi ne mere ujaD raston pe KHwahishon ke diye jalae
tumhi ne chaha tha KHushk honTon se chahaton ke gulab likkhun

kabhi wo din the ki nind aankhon ki sarhadon se pare pare thi
magar main ab jab bhi sona chahun tumhaari yaadon ke KHwab likkhun

main tanha laDki dayar-e-shab mein jalaun sach ke diye kahan tak
siyahkaron ki saltanat mein main kis tarah aaftab likkhun

qayaadaton ke junun mein jin ke qadam lahu se range hue hain
ye mere bas mein nahin hai logo ki un ko izzat-maab likkhun

yahi bahut hai ki in labon ko sada se mahrum kar ke rakh dun
magar ye kaisi musalahat hai samundaron ko sarab likkhun