ajib KHwab tha us ke badan mein kai thi
wo ek pari jo mujhe sabz karne aai thi
wo ek charag-kada jis mein kuchh nahin tha mera
jo jal rahi thi wo qindil bhi parai thi
na jaane kitne parindon ne is mein shirkat ki
kal ek peD ki taqrib-e-ru-numai thi
hawaw aao mere ganw ki taraf dekho
jahan ye ret hai pahle yahan tarai thi
kisi sipah ne KHeme laga diye hain wahan
jahan pe main ne nishani teri dabai thi
gale mila tha kabhi dukh bhare december se
mere wajud ke andar bhi dhund chhai thi
Ghazal
Ajib KHwab tha uske badan mein kai thi
Tahzeeb Hafi