ajib KHauf musallat tha kal haweli par
lahu charagh jalati rahi hatheli par
sunega kaun magar ehtijaj KHushbu ka
ki sanp zahar chhiDakta raha chameli par
shab-e-firaq meri aankh ko thakan se bacha
ki nind war na kar de teri saheli par
wo bewafa tha to phir itna mehrban kyun tha
bichhaD ke us se main sochun usi paheli par
jala na ghar ka andhera charagh se 'mohsin'
sitam na kar meri jaan apne yar beli par
Ghazal
Ajib KHauf musallat tha kal haweli par
Mohsin Naqvi