ajib KHamushi hai ghul machati rahti hai
ye aasman hi sar par uThati rahti hai
kiya hai ishq to sabit-qadam bhi rahna sikh
miyan ye hijr ki aafat to aati rahti hai
ye jo hai aaj KHaraba kabhi chaman tha kya
yahan to ek magas bhinbhinati rahti hai
Daro nahin ye koi sanp zer-e-kah nahin
hawa hai aur wahi sarsaraati rahti hai
mere hi waste manzar zuhur karte hain
meri hi aankh yahan jagmagati rahti hai
hawa agarche bahut tez hai magar phir bhi
main KHak hun ye mere kaam aati rahti hai
ye kaisi chashm-e-taKHayyul hai unghti bhi nahin
ajib rang ke manzar banati rahti hai
wo ek nigah bhi neze se kam nahin yani
hamare KHun-e-jigar mein nahati rahti hai
qadam bhi KHak pe karte hain kuchh na kuchh tahrir
hawa ki mauj bhi us ko miTati rahti hai
Ghazal
Ajib KHamushi hai ghul machati rahti hai
Rafiq Raaz