ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha
wo raushni ka musafir andhere ghar mein raha
wo chandni ka muraqqa nahin tha jugnu tha
charagh ban ke jala aur shajar shajar mein raha
kahawaton ki tarah wo bhi shahr-e-mani tha
bujha bujha sa diya jo kisi khanDar mein raha
wo jis ko khoj sarabon mein thi samundar ki
wo apne dasht-e-dil-o-jaan ki rahguzar mein raha
wahi to naqsh-e-qadam the jo sare miTte gae
wo dagh-e-sajda tha baqi jo sang-e-dar mein raha
yahi tilism tha 'zarrin' jise na toD saki
wajud us ka to taqdir ke bhanwar mein raha
Ghazal
Ajib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein raha
Iffat Zarrin