ajib jumbish-e-lab hai KHitab bhi na kare
sawal kar ke mujhe la-jawab bhi na kare
wo mere qurb mein duri ki chashni rakkhe
mere liye mera jina azab bhi na kare
kabhi kabhi mujhe sairab kar ke KHush kar de
hamesha gumrah-e-sehr-e-sarab bhi na kare
ajib barzaKH-e-ulfat mein mujh ko rakkha hai
ki wo KHafa bhi rahe aur itab bhi na kare
wo intizar dikhae is ehtiyat ke sath
ki meri aankhon ko mahrum-e-KHwab bhi na kare
wo raat bhar kuchh is andaz se kare baaten
mujhe jagae bhi ninden KHarab bhi na kare
har ek sher mein 'azar' nuqush hain us ke
magar wo KHud ko kabhi be-naqab bhi na kare
Ghazal
Ajib jumbish-e-lab hai KHitab bhi na kare
Rashid Aazar