ajib jang-o-jidal har pal hai mere andar
ki nur-o-zulmat ka ek maqtal hai mere andar
uge hain mujh mein hazar-ha KHar-zar paude
phir is pe turra ki ruh malmal hai mere andar
ye kaisi be-mani zindagi ho ke rah gai hai
na kuchh adhura na kuchh mukammal hai mere andar
main jaanta hun ki KHatm hoga na ye taffun
magar luTaunga jitna sandal hai mere andar
samundaron mein kahan tamawwuj hai aisa mumkin
ki jo talatum hai jaisi halchal hai mere andar
baDe-baDon ko samajh raha hai jo tifl-e-maktab
'nadim' aaKHir wo kaun pagal hai mere andar
Ghazal
Ajib jang-o-jidal har pal hai mere andar
Nadeem Fazli