ajib hun ki mohabbat shanas ho kar bhi
udas lagta nahin hun udas ho kar bhi
KHuda ki tarah koi aadmi bhi hai shayad
nazar jo aata nahin aas-pas ho kar bhi
numu ki raushni le kar uga hun sahra mein
main sabz ho nahin sakta hun ghas ho kar bhi
wajud wahm bana miT gaya magar phir bhi
tumhaare pas nahin hun qayas ho kar bhi
ye aadmi pe hukumat tumhein mubarak ho
faqir kaise chhupe KHush-libas ho kar bhi
Ghazal
Ajib hun ki mohabbat shanas ho kar bhi
Nadeem Bhabha