اردو हिंदी
Ajib husn hai un surKH surKH galon mein | Shaahi Shayari
ajib husn hai un surKH surKH galon mein

Ghazal

Ajib husn hai un surKH surKH galon mein

Jaleel Manikpuri

;

ajib husn hai un surKH surKH galon mein
mai-e-do-atisha bhar di hai do piyalon mein

sunen jo aap to sona haram ho jae
tamam raat guzarti hai jin KHayalon mein

ummid o yas ne jhagDe mein Dal rakkha hai
na jine walon mein hum hain na marne walon mein

chaman mein gul bhi hina bhi magar nasib ki baat
koi to sar chaDhe koi ho paemalon mein

nasim-e-shama-e-lahad ko zara bachae hue
yahi hai ek gharibon ke rone walon mein

yahan KHizan ka na khaTka na KHauf gulchin ka
bahaar gul mein rahe ya tumhaare galon mein

nahin hai lutf ki KHalwat mein ghair shamil ho
uTha do shama ko ye bhi hai jalne walon mein

chubhega kya dil-e-pur-KHun ka raaz aankhon se
jo hoga shishe mein aaega wo piyalon mein

hazar shukr ki hum naqs mein hue kaamil
'jalil' rah gai baat apni zi-kamalon mein