ajib hum hain sabab ke baghair chahte hain
tumhein tumhaari talab ke baghair chahte hain
faqir wo hain jo allah tere bandon ko
har imtiyaz-e-nasab ke baghair chahte hain
maza to ye hai unhen bhi nawazta hai rab
jo is jahan ko rab ke baghair chahte hain
nahin hai khel koi un se guftugu karna
suKHan wo jumbish-e-lab ke baghair chahte hain
ThaThurti raat mein chadar bhi jin ke pas nahin
wo din nikalna shab ke baghair chahte hain
jami hai gard siyasat ki jin ke zehnon par
mushaera bhi adab ke baghair chahte hain
hai e'timad unhen KHud par ghurur ki had tak
akele jina jo sab ke baghair chahte hain
Ghazal
Ajib hum hain sabab ke baghair chahte hain
Tahir Faraz