اردو हिंदी
Ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai! | Shaahi Shayari
ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

Ghazal

Ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!

Baqar Mehdi

;

ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!
khuli hai aankh samundar bhi ek KHwab sa hai!

Thahar Thahar ke bajata hai koi sazina
main kya karun mere sine mein ek rubab sa hai!

bujhegi pyas meri zahr-e-agahi se kabhi
mere dayar mein us ka maza sharab sa hai!

main kyun kisi se sar-e-rah rahbari mangun?
nai hai manzil-e-gham ek yahi jawab sa hai!

chamakti ret se rah rah ke uTh rahi nawa
koi mazar tha pahle ki ab sarab sa hai!

hadaf bana ke na ruswa karo zamane mein
gharib-e-shahr hun rutba mera janab sa hai!

main chhoD aaya hun muddat hui gharibi ko
ye mera saya baDa KHanuman-KHarab sa hai!

na jaane kaise main sail-e-rawan se bach nikla?
ye zindagi ka tamasha to ek habab sa hai!

main kaise KHud ko samajh paun be-kasi ye hai?
ki aaina nahin akson ka ek naqab sa hai!

nazar mila ke main us se guzar gaya 'baqar'
na jaane mujh se KHafa ye ki la-jawab sa hai!