ajib dhund hai aaankhon ko sujhta bhi nahin
abhi to din ka waraq Thik se jala bhi nahin
ye kis hisar mein sanson ne kas diya hai mujhe
ye kaisa ghar hai nikalne ka rasta bhi nahin
ye kaisa dukh hai jo rota hai siskiyan le kar
khanDar mein kaun hai ru-posh bolta bhi nahin
ajib dard ka rishta hai ek azab hai ye
jise bhula diya main ne wo bhulta bhi nahin
mujhe bhi dekh mere hausle bhi dekh zara
mera to koi nahin tu nahin KHuda bhi nahin
har ek shab koi palkon ko aa ke sita hai
wo mera kaun hai puchhun to bolta bhi nahin
Ghazal
Ajib dhund hai aaankhon ko sujhta bhi nahin
Siddique Mujibi