ajib Dhang se main ne yahan guzara kiya
ki dil ko barf kiya zehn ko sharara kiya
mizaj-e-dard ko sab lafz bhi qubul na the
kisi kisi ko tere gham ka istiara kiya
phir us ke ashk bhi us ko ada na kar pae
wo dukh jo us ke tabassum ne aashkara kiya
ki jaise aankh ke lagte hi khul gain aankhen
nigah-e-jaan ne bahut dur tak nazara kiya
hamein bhi dekh ki tajsim-e-nau se guzre hain
badan ko shisha kiya dil ko sang-para kiya
ajab mizaj tha tanhai-ashna ki 'saud'
KHud apna sath bhi mushkil se hi gawara kiya
Ghazal
Ajib Dhang se maine yahan guzara kiya
Saud Usmani