ajib aadat hai be-sabab intizar karna
shab-e-alam mein visal ke din shumar karna
nahin hai aasan adawaton mein asir rahna
rawish zamane se muKHtalif iKHtiyar karna
na be-niyaz-e-quyud-e-adab-e-ishq rahna
na apne atraf maslahat ka hisar karna
na ahl-e-danish ke dam-o-dana ka said hona
na shahr walon ke lutf ka e'tibar karna
jo mahfilon mein shahid-e-pindar-e-husn hona
to KHalwaton mein ghazal mani shikar karna
bujhe charaghon ko zeb-e-daman-o-jeb rakhna
pighalti shamen qatar-andar-qatar karna
Ghazal
Ajib aadat hai be-sabab intizar karna
Sheesh Mohammad Ismail Azmi