ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak
muqaddar mein hai ya rab aarzu-e-KHud-kushi kab tak
taDapne par hamare aap rokenge hansi kab tak
ye mathe ki shikan kab tak ye abru ki kaji kab tak
kiran phuTi ufuq par aaftab-e-subh-e-mahshar ki
sunae jao apni dastan-e-zindagi kab tak
dayar-e-ishq mein ek qalb-e-sozan chhoD aae the
jalai thi jo hum ne shama raste mein jali kab tak
jo tum parda uTha dete to aankhen band ho jatin
tajalli samne aati to duniya dekhti kab tak
tah-e-girdab ki bhi fikr kar ai Dubne wale
nazar aati rahegi sahilon ki raushni kab tak
kabhi to zindagi KHud bhi ilaj-e-zindagi karti
ajal karti rahe darman-e-dard-e-zindagi kab tak
wo din nazdik hain jab aadmi shaitan se khelega
khilauna ban ke shaitan ka rahega aadmi kab tak
kabhi to ye fasad-e-zehn ki diwar TuTegi
are aaKHir ye farq-e-KHwajgi-o-bandagi kab tak
dayar-e-ishq mein pahchanne wale nahin milte
ilahi main rahun apne watan mein ajnabi kab tak
muKHatab kar ke apne dil ko kahna ho to kuchh kahiye
'saba' us bewafa ke aasare par shairi kab tak
Ghazal
Ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak
Saba Akbarabadi