ajab tu ne jalwa dikhaya mujhe
ki aalam mein phir kuchh na bhaya mujhe
karun kya bayan main ye ehsan-e-ishq
ki qatre se dariya banaya mujhe
fida hun main us naz-e-jaan-baKHsh par
ki jun jun mua mein jilaya mujhe
teri zulf-e-pechan ne ai rashk-e-gul
hazaron bala mein phansaya mujhe
rulaya kabhun mujh ko manind-e-abr
kabhun barq-asa hansaya mujhe
jo apne tain main ne dekha baghaur
sarapa nazar tu hi aaya mujhe
main hun shah-e-KHadim par 'asim' fida
ki jun jun main bigDa banaya mujhe

Ghazal
Ajab tu ne jalwa dikhaya mujhe
Shah Aasim