ajab tarah se main sarf-e-malal hone laga
jo shahr ka hai wahi dil ka haal hone laga
sab us ki bazm mein the mujrmon ki tarah KHamosh
hum aa gae to hamin se sawal hone laga
ab aasman se mujhe shikwa-e-jafa bhi nahin
har inqalab mere hasb-e-haal hone laga
hamare kaif-o-masarrat mein ehtimam kahan
hawae taza chali ji bahaal hone laga
jo KHush nahin hai 'sahar' ban ke mera ham-saya
wo kis guman pe mera ham-KHayal hone laga
Ghazal
Ajab tarah se main sarf-e-malal hone laga
Sahar Ansari