ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain
bichhaD ke ab mah o sal karne bhi aa gae hain
jo meri baaton ko manta tha bila-taamul
suno use ab sawal karne bhi aa gae hain
suna hai logon se ab wo milta hai muskura kar
use talluq bahaal karne bhi aa gae hain
wo shaKHs jis ki KHushi ka bais thin meri baaten
use ab un par malal karne bhi aa gae hain
suna hai ab rasta badalta hai wo achanak
use to rahi niDhaal karne bhi aa gae hain
Ghazal
Ajab tarah ke kamal karne bhi aa gae hain
Ashfaq Nasir