اردو हिंदी
Ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha | Shaahi Shayari
ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha

Ghazal

Ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha

Shariq Kaifi

;

ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha
kisi ne mujh ko nishana nahin banaya tha

usi nigah ne aankhon ko kar diya patthar
usi nigah mein sab kuchh nazar bhi aaya tha

yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin
wo kya dikhane mujhe itni dur laya tha

ulajh gaya hun kuchh aisa ki yaad bhi to nahin
ye wahm pahle-pahal kaise dil mein aaya tha

wo main nahin tha tumhaari taraf sarakta hua
hawas ne tirgi ka faeda uThaya tha

bichhaDna itna hi aasan tha agar us se
to KHud-kushi ka ye saman kyun juTaya tha

gila to aaj bhi sachchai hai magar 'shaariq'
ye jhuT us se mein pahle hi bol aaya tha